|
jab dard bhi meetha lagta hai, to khushiyon ko bula k kya karna... pure na hon dil k armaan, to sapno ko sajaa k kya karna.... har saans k saath jab yaade judi, to un yaadon ko bhula k kya karna.... de khuda tumhe meri bhi khushiyaan, bhalaa apno ko rula k kya karna.... jab har haal me hansnaa seekh liya, to palko ko bhigaa k kya karna.... aankhon me chhupe jab raaz kai, unhe lafzo me bayaan kar kya karna... do chaar kadam pe chhod de haath, un rishton ko nibhaa kar kya karna... tum mere the tum mere ho, dunia ko bata kar kya karna ...... tum saath na ho to dunia ki, doulat paakar bhi kya karna... jab maan liya tumhe rab apna, to mandir jaakar bhi kya karna.....
|