|
Kabhi jo rahta dil me sabke, josh ka vo tufaan kahan hai. Puchh raha mann mera mujhse, mera hindustan kahan hai. Lekar shapath ye ishwar ki, karte hain sirf ghotala ye. Ghar me rabdi hoti hai, khaate hain fir bhi chaara ye. Jail to sasural hai inki, vahan bhi chalti manmani hai. Dekh sun k bhi sab hai chup, ye kaise hindustani hain. Jahan pe kahiyaan khilti thin, mout vahan ab hansti hai. Jahan aman ki basti thi, vahin aaj zindagi sasti hai. Sabka maalik ek hai jab, to mazhab k naam pe jung hai kyon? Har dharm sikhlata bhaichaara, to fir insaan ka dil tang hai kyon? Samay ne karwat aisi badli, log bhool gaye hain sab sanskaar. Satya ahinsa bah gaye dariya me, rah gaya to bas ye bhrastachaar. Veer marte hain seemaaon pe, aur darinde biryani khaate hain. Satta k madd me chur kuchh log, soti janta pe laathi chalwate hain. Rakshak hi bhakshak ban baithe, ab kispe karen vishwas yahan? Sapna to ram raaj ka tha, par mila ram ko fir vanwas yahan. He maalik ye vinti hai, desh ki fir se vo shaam louta do. Gandhi Subhash k sapno ka, mujhe mera hindustaan louta do..
|